Welcome friends, main Anand Kumar fir se swagat karta hoon aapka apne is naye post mein. Doston jaisa ki hum-sab log jaante hain ki ab sardi ka mausam lagbhag khatm ho gaya hai aur humlog ab Garmi ke is mausam ka swagat karne ke liye poori tarah se taiyaar hain.
Mitron thand ke is beete huye mausam mein aap logon ne kai tarah ke electronics gadget khareede honge jaise ki sabse jyada khareedne waala upkaran hai – ROOM HEATER.
A room heater |
Friends, ye Room Heater ho sakta hai ki humne kai rooms ke liye kitne saare khareed liye hon. Aur fir ab jab garmi ka season aa chuka hai to ab humein itne saare mein se ek bhi jaroorat nahin rah gayi hai. Aur ab inhein pack karke rakhne ka bhi time aa gaya hai.
To friends hum inhein agle sardi ka season aane tak kaise surakshit rakhein, ye sochkar bhi pareshan hote hain aur yadi possible hua to main inhein surakshit rakhne ke liye bhi ek post jaroor likhunga taaki aapke mehnat ki kamaai ka aap agle saal bhi use kar sakein, na ki unhein is baar hi kho dein. Lekin filhaal hum chalte hain apne topic par.
To friends ab garmi ke season mein hamari jo pahli jaroorat hogi wo hai Fan. Ji haan friends, sahi suna aapne. Garmi ke season mein hamein sabse jyada jaroorat padti hai Fans ki yaani ki Pankhe ki. Yahan aap kah sakte hain ki kya Bulbs ki jaroorat hamein nahin padti hai? To main yahan ye kahna chahunga ki Bulbs jo hain wo sabhi season mein Night ke time use kiya hi jaata hai lekin ye jo fan hai inhein hamein season ke saath-saath band aur chalu karna padta hai. To doston, ab hamari sabse pahli jaroorat hai pankhe ki. To yadi aap naye pankhe khareedne jaa rahe hain to ek baar hamare is post ko jaroor padh lijiye taaki aap sahi faisla le sakein.
1. Apne purane pankhe ko laayein dhyan mein
Haan friends, sahi suna aapne. Bahut saare aise bandhu honge jo ki purane pankhe ki chhoti-si kami ke chalte naya pankha khareedne ki soch rahe honge. To doston main yahan ye kahna chahunga ki pankhe ki keemat Job waale logon ke liye to jyada nahin hoti hai lekin Middle class ke logon ke liye bahut hoti hai.Fir bhi, yadi hamare paas pahle se hi pankhe hain hi to bhala naya khareedne ki jaroorat hi kya hai? Aap yadi thodi-si mehnat karenge to 200-500 RS tak mein hi bekaar lagne waala aapka purana pankha bhi aapko behtar performance de sakta hai. Isliye meri salaah hai ki naya pankha kharidne se pahle ek baar purane pankhe ko kisi macanic se jaanch jaroor karwayein aur yadi kam kharch mein wo ready ho raha hai to usey thik karwa lena hi sahi rahega.
2.Purane pankhe se nikalti gharr-gharr ki aawaj se hain pareshan
Boring fan |
Ji haan, yadi aap purane pankhe ke gharr-gharr, charr-charr jaise aawajon se pareshan hokar naya pankha khareedne jaa rahe hain to aapke liye ye jaan lena bahut hi jaroori hai ki ye koi badi problem nahin hai.
Aap kisi macanic ko 200 Rs maatra tak dekar hi is problem ko door kar sakte hain. Ya fir yadi aapke paas common aujaar aur thoda-sa hunar hai to 100 RS se bhi kam cost mein khud se is problem ko door kar sakte hain. Darasal pankhe se yadi shorful aawaj aa rahi hoti hain to iske 2-3 common wajah hote hain.
1. Barring ka ghisa jaana
2. Pankhe ke bahut saare nut-bolts ka dhila ho jana
3. Ceiling fan ko chhat se connect ka dhila ya looz ko jana.
Friends upar bataye gaye 3 common kaaranon se aapke pankhe se aawaj aa sakti hain jise ki aap khud se bhi sahi kar sakte hain. Saath hi kuchh tachnical folts ke kaaran bhi pankhe se shor jaise aawaj aate hain jinke baare mein hum aapko bahut hi jald agle kisi post mein details se batayenge.
3. Purane pankhe ki Looking sahi nahin hai
Kya aap bhi maatra is wajah se apne purane pankhe ko hatana chahte hain kyonki wo dekhne mein bahut hi bhadda-sa lagta hai aur wo aapke ghar ke best looking ko kharab karta hai?
Old Fans |
To doston yahan bhi sabse pahle main aapko rokna chahunga ki maatra is wajah se aap apne pankhe ko change karne ke bajaye usmein 100 RS tak yadi maatra kharch karenge to wo jaisa chahenge us look mein aapko dikhayi dega. Ji haan mitron, aap sabse pahle to apne pankhe ko chhat se utaar lijiye aur ek-ek karke iske saare nut-bolts ko nikalkar baaki ke saare saaman bhi nikaal lijiye. Baad mein ise fitting karte waqt aapko koi pareshani nahin aayegi kyonki iska insallatin bahut hi easy hai lekin fir bhi yadi aapko thodi-bahut pareshani aati hai to aap humse kah sakte hain, hum aapki poori help karenge. To ab jab aapka pankha poori tarah se khul chuka hoga tab sabse pahle iske coil aur capasitor waale parts ko alag se nikalkar rakh lijiye. Iske baad baahar waale part jaise ki PANKHI aur donon dhakkan ko aap nikalkar usey paani se achchhi tarah se saaf karke sooti kapde se pochh dein aur 1-2 ghante tak dhoop mein sukhayein. Iske baad jab aapka fan sookhka aur dhoolrahit ho jaye tab aap market se apne pasand ke colour ka ek kareeb 100 ML ka paint le lijiye. Saath hi ek 1 inch ka paint brush bhi le lijiye aur phir ghar aakar pankhe ko achchhe se paint kar dijiye aur usey sookhne tak dhoop mein chhod dijiye.
Phir jab wo achchhi tarah se sookh jaaye to usey ab aap fit karke use kar sakte hain. Yahan dhyan ye rakhna hai aapko ki sirf baahri part ko hi paint karna hai. Pankhi ko to poora paint kijiye lekin fan wale part mein aap kewal usi part ko paint kijiye jo ki baahar rahta hai, andar waale part ko aap kuchh mat kijiye. Yadi aapko pankhe ko kholne aur fit karne mein kahin koi pareshani aa rahi ho to aap mujhe comment kar sakte hain, main aapki poori help karunga. Ya fir aap chahein to apni santushti ke liye pankhe ko kholne aur fit karne ka kaam apne aas-paas ke macanic se bhi kara sakte hain. To friends aap kam-se-kam kharc mein hi apne purane pankhe ko naya look de sakte hain.
4. Asmanjas mein hain ki Stand Fan khareedein ya Ceiling Fan
Maan lete hain ki aapko ek aur pankha khareedne ki bhi jaroorat hai. To ab market jaane se pahle hamare is baat ko jaan lein ki aapko kaun-sa pankha khareedna chahiye, STAND FAN ya CEILING FAN? To friends chaliye sabse pahle in donon ki visheshta jaan lete hain…..
1. Ceiling Fan ki visheshtayein aur kamiyan
➤ Is fan ko aap ek baar chhat se latka dijiye fir wo wahin-ka-wahin rahega, Doosri jagah le jaane ke liye aapko bahut mehnat karni hogi aur aujaaron ki jaroorat padegi. Saath hi is fan ka connection wire sidhe hi bijli board se ek switch ke maadhyam se connect kar diya jaata hai. Aur saath hi speed ko niyantrit karne ke liye ek regulator bhi board mein hi fit kiya jaata hai.
➤ Mitron, aajkal ke jo hamare ghar bante hain uski height jyada nahin hoti hain. Aamtaur par jab hum chhat se pankhe ko latka dete hain aur bed par khade hote hain to hamein jhukna padta hai. Yadi hum sidhe khade honge to chalte huye pankhe se takrane ka dar rahta hai. Maan lete hain ki aapko isse koi dikkat nahin hai to fir bhi apne ghar ke bachche aur unke height ko dhyan mein rakhte huye pankhe ko kam-se-kam itni dori mein chhat se jaroor lagayein taaki bachchhe un tak aasani se pahunch na paayein. Lekin yadi aisa sambhaw na ho to main aapko salaah doonga ki Stand Fan aapke liye better ho sakta hai.
➤ Yadi aap single flour waale room mein rahte hain ya fir top flour wale room mein rahte hain to Ceiling fan khareedne se pahle ek aur baat ka dhayn rakhna aapko jaroori hai. Garmi ke mausam mein aam-taur par top level wale ya single flour room ke chhat jyada hit ho jaate hain. Aur jab aise mein hum aise garm chhat par pankhe ko latkayenge to pankhe se jo hawa milegi usmein chhat ki garmi bhi mili huyi hogi. Aur is garmi se kabhi-kabhi aapki tabiyat bhi kharab ho sakti hai aur aap sust bhi ban sakte hain. Waise ye koi khaas baat nahin hai, lekin ek-ek baat se aap parichit hon isliye main bata raha hoon.
➤ Is fan ki coil poori tarah se packed hoti hain aur bahut logon ko to pata hi nahin chal paati hain ki aakhir hota kaisa hai iska coil. Aur isi wajah se iske coil ko koi baahri nuksaan nahin pahunchta hai.
2. Stand Fan ki visheshtayein aur kamiyan
➤ Upar waali samasya yadi aapke saath ho to aapke liye Stand Fan ek achchha vikalp ho sakta hai. Ye fan Ground par hi khada kar diya jaata hai aur saath hi aap ise jahan chahein kabhi bhi lekar jaa sakte hain jabki ceiling fan mein aisi koi khasiyat bhi nahin hai. Lekin stand fan mein aisi koi baat nahin hai. Aap ise jahan chahein jab chahein le ja sakte hain. Aur iske liye is fan se ek plug nikla hua rahta hai jise ki aap board mein insert karke use kar sakte hain. Saath hi is fan ki ek badi khasiyat ye hai ki ismein Fan regulator bhi laga hua hota hai jisse ki aap iske speed ko niyantrit kar sakte hain.
➤ Ye fan choonki ground par rahta hai isiliye ismein bhi bachchon ko iski pahunch se door rakhna jaroori ho jata hai. Waise to is pankhe ke pankhi ya blade ko covour karne ke liye ismein jaalinuma dhakkan laga hota hai jisse kki aap sidhi tarah se iske blade ko touch nahin kar sakte hain. Lekin fir bhi yadi bachche jara shararati hon to wo is jaalinuma dhakkan mein wo koi bhi patli chiz ghusa kar testing karne se baaj nahin aayenge aur fir aise mein kya ho sakta hai ye to aap khud samajh hi sakte hain. Doosri taraf yadi iske dhakkan ko jaalinuma nahin banaya gaya to phir hawa niklega kahan se! Isliye aapko ise aise jagah mein khada karna hoga jahan tak chhote bachche ki pahunch na ke barabar ho.
➤ Is pankhe se hot air ki problem lagbhag na ke barabar hoti hai aur poori tarah se natural hoti hai.
➤ Is pankhe ke coil openly hote hain. Aur ise koi bhi nasht kar sakta hai aur chuha kootar sakta hai.
To friends, ye thi in donon pankhe ki alag-alag visheshtaayein. Ab jara cost yaani ki laagat ki baat karte hain…..
1. Ceiling Fan ki laagat
➤ Is pankhe ki keemat 1000 se start hoti hai aur 1500 tak mein achchhe aur copper coil wale pankhe mil jaate hain. Lekin yadi aapki practice nahin hai to kisi macanic se installation ka aapko charge lag sakta hai. Saath hi Regulator ko board mein fitting karane ka charge bhi aapko alag se pay karna pad sakta hai.
2. Stand Fan ki laagat
➤ Is pankhe ki keemat bhi 1200 se start ho jaati hai lekin wo saamanyatah Aluminium coil ke hote hain jo ki bahut hi jald jal sakta hai aur tab fir aapko ismein alag se 600 RS copper ke coil lagwane ke lag sakte hain. Lekin yadi aap chahein to 2000 se aap achchhi copper coil wali Stand fan le sakte hain jo ki bahut hi tikaau hota hai. Iski keemat aapko 2000 se jyada lag sakte hain.
To friends, mujhe poora vishwas hai ki ab aaplogon ki kuchh samasya is post se jaroor door huyi hogi. Hamare aise hi post padhne ke liye is blog ko visit karte rahein. Is par regular u[pdation hota rahega. Aur yadi aaplogon ko kahin koi problem ho to humse comment mein poochh sakte hain, hum aapki poori help karenge. Hamare agle post tak ke liye…..
Bye…..
ANAND KUMAR says
वैसे एक बात जरूर कहना चाहूँगा कि आपने यहाँ पर जो आपने कहा है कि Badhiya jankari di hai aapne pankaj bhai, ये तो आपने इस ब्लॉग के एडमिन को ही कहा है और इस ब्लॉग का एडमिन पंकज भाई नहीं हैं. वो अभी सिर्फ कॉमिक्स के ब्लॉग को ही हैंडल करते हैं, लेकिन पारिवारिक वजह के चलते वो पूरा टाइम नहीं दे पाते इसलिए उन्होंने कुछ समय के लिए मुझे अपना सहायक के रूप में एडमिन बनाया है. उनसे मुझे सिर्फ मेल आईडी से ही कांटेक्ट होता है. निजी तौर पर मैं उन्हें नहीं जानता हूँ. लेकिन इतना समझता हूँ की वो एक बहुत ही अच्छे इंसान हैं और लोगों की हेल्प करने के लिए हमेशा तत्पर रहते हैं. उन्होंने ब्लॉग्गिंग में मेरी बहुत मदद की है. लास्ट में यही कहूँगा कि हम दोनों अलग इंसान हैं और दुनिया के अलग-अलग कोने में रहते हैं बाकी आप खुद समझ सकते हैं.
ANAND KUMAR says
आरिफ भाई, आपको मेरा ये पोस्ट पसंद आया है ये मेरे लिए बहुत ही ख़ुशी की बात है.
Arif Shikalgar says
Badhiya jankari di hai aapne pankaj bhai,, .ei abhi new fan lene ke baare me soch hi raha tha ,,lekin aapki post se mera vichar badal gaya,, thanks for help us
ANAND KUMAR says
@Pankaj bhai and @Mukul bhai. Mujhe bahut hi khushi hai ki aapko mera ye post pasand aaya hai. Ab main regular is blog par post karunga.
mukul sharma says
Bohot badhia anand bhai,
ache se samjhaya apne bohot
thumbs up
Pankaj Singh says
Bahut hi achchi jankari………wakai me hum log chhoti-chhoti problem aane par naya fan lene ke bare me sochne lagte hai…lekin agar hum is post me batai gai jankari ka prayog karein to ham apne purane fan ko hi lambe samay tak use kar sakte hain..